Ichha kab rakhen...rakhen ya nai rakhen आध्यात्मिक मार्ग में.


Ichha kab rakhen...rakhen ya nai rakhen आध्यात्मिक मार्ग में. 

Swaunnati aur koi bhi laukik ya alaukik ichha ka balance rakhna sikhate hai baba.

Shubh ichchhaen bhi aape hi right time par emerge hogi...Jab swaunnati theek ho rai hogi...Isliye khud se emerge kare ya na kare iska bhi sochna nai.

Ichha rakhni chaiye?

Jeevan mein lakshya hona zaruri hai...Par wo ichha ka roop na le..Yai soche baba ne lakshya diya hai...Baba poora karaega.. Hume apna best dena hai...Fir use saunp dena hai result

Easy going banna hai


Amritwela,murli etc ka lakshaya rakhna ye drirta hai


Poora na hone par Apne par krodh nai karna..aapko lakshya revise karna hai...ways find karne hai use poora karne ke

Swayam se pyaar se baat karni hai

Nai toh man ziddi ho jata hai

Daanto toh naraz

Ho jata hai

Isliye revise karna hai baar baar

Aur har roz alag yukti se try karna hai

Like bhojan jaldi karna

Media avoid karna ...vaccha kam karna

Man ko chhorna bhi nai hai...aur zada tight bhi nai karna

Pyar se raste pe lana hai..

Kuchh read kiya achha..likha...pada..suna

Usko vash mein karna hai...usko samajhna hai...kis din use kis lesson ki zarurat hai

Kabhi pyaar ki zarurat hogi..kabhi discipline  karne ki..kabhi lakshya yaad dilane ki..kabhi khushi ki

Aapko judge karna hai khud uski need...aur baba jo baat karte hai murli mein wo humare man se kaise baat karni hai uski training hai


Wai different  situations  mein konsi baat karni hai man se...yai sara purushartha  hai...ise sadna kehte hai baba..

Jab aapki ye programming theek ho jaegi in your journey of experiences tab sidhdhi ka samay shuru ho jaega..tab tak thoda hit & trial.

and patience se checking what works in different  situation

Comments

Popular posts from this blog

Remembering GOD At Various Occasions

Search God or Recognize God

A new strategy